The last night of sorrows
Shuru Khuda Ke Naam Se Jisne Es Qalam Me Noor Bhar Diya Aur Jisne Es Qalam Ke Sadke Dil Ka Dard Mitana Sikha Diya
Kahani Ek Ladke Ki, Jo Dosti Ke Liye Mar Mitne Wala Tha, Hai Aur Rahega Bhi, Kabhi Ek Waqt Tha Jab Uske Pas Dost Nahi They Wo Ajeeb Sa Tha Ajeeb Si Baate Karne Wala Tha, Fir Usne Badalna Shuru Kiya Aur Fir Uske Kuch Dost Bane Wo 3 Ladkia Thi Jise Wo Bachpan Se Hi Janta Tha, Jo Khas Thi, They To Aur Bhi Bhut Zindagi Me Lekin Shayad Unke Sath Kuch Alag Hi Baat Thi, Un Teeno Me Se Ek Ko Wo Bahut Kam Janta Tha, Aur Wo Use Janna Chahta Tha, Shayad Uske Sadke Hi Zindagi Me Koi Maqam Milna Likha Tha, Wo Bahut Bholi Si Thi Dunia Se Bekhabar, Shuruwaat Ki Fazilat Ye Thi Ki Wo Dono Ek Dusre Se Anjaan They Lekin Tab Bhi Ek Dusre Se Sara Din Baate Kiye Karte They, Wo Ladka Use Bahut Kuch Bataya Samjhaya Karta Tha Jo Ki Uska Farz Tha Uski Har Mushkil Wo Apni Banakar Chalta Tha Kyuki Usko Pata Tha Ki Jab Koi Mushkil Me Sath Nahi Hota To Kesa Lagta Hai, Bahut Ache Se Din Guzar Rahe They Wo Dono Jab Subah Uthte The To Baate Karni Shuru Kar Dete The, Aur Sara Din Jaane Kaha Chala Jaata Tha, 2 Saal Tak Ye Silsila Ese Hi Chal Raha Tha Aur Eske Baad Shayad Us Ladke Ke Dil Me Muhabbat Dharakne Lagi Thi, Wo Ladki Bhi Use Bahut Chahti Thi Dono Door Zaroor They Kabhi Mile Bhi Nahi They Tab Bhi Wo Dono Har Waqt Ek Dusre Ke Sath Hote They, Aur Fir Ek Waqt Esa Bhi Aya Ki Dono Muhabbat Ka Izhar Karne Lage They Aur Wo Ladka Kaha Karta Tha Ki Uski Zindagi Jannat Se Kam Nahi Thi Wo Do Dost Bhi Uske Sath Hi Thi Kabhi Thoda Kam Sath Thi Kabhi Thoda Jyada, Badalna Sansaar Ka Niyam Hai Aur Yaha Har Ek Shaks Badal Jayega Ek Na Ek Din Lekin Wo Ladka Es Baat Ko Nahi Manta Tha Aur Uska Yehi Kehna Tha Ki Na Mai Khud Badlunga Aur Na Hi Tumhe Badalne Dunga, Lekin Sahab Zindagi Ko Kuch Aur Hi Manzoor Tha, Wo Pyar Bhari Baate Ab Ladaiyo Me Badalne Lagi Thi, Us Ladki Ki Zindagi Me Har Pal Kuch Badal Raha Tha Aur Wo Ladka Abhi Tak Waha Hi Khada Tha Jo Ki Uski Sabse Badi Galti Thi Ek Waqt Esa Aya Ki Wo Dono Sirf Ek Dusre Ke Liye Gum Bankar Reh Gaye The Wo Ladki Kadwi Baate Bolne Lagi Thi Aur Fir Ladka Bhi Pura Saath Deta Tha, Us Ladke Ko Bhi Buri Aadto Ne Nahi Choda Tha, Kisi Waqt Wo Ek ChainSmoker Hua Karta Tha Aur Wo Sudhra Tha Kyuki Usko Sudharne Wala Wo Ladki thi Lekin Tab Wo Kya Karta Jab Uski Takat Uski Kamzori Ban Chuki Thi, Wo Har Sham 8 Baje Nikal Jaya Karta Tha Andheri Galiyo Me, Dil Me Marne Ki Aarzu Hoti Thi Aur Jeb Me Ciggrate Ka Packet, Aksar Log Use Kehte The Ki Waha Na Betha Kar Waha Saap(Snake) Hai Wo Jaan Boojh Kar Waha Bethta Tha, Fir Wo Jeb Me Se Packet Nikalta Tha Aur Fir Dusri Jeb Se Lighter, Aur Fir Hontho Se Lagane Ke Bad Lighter Ki Wo Tikk Ki Awaaz, Jese Keh Rahi Ho Mai Tere Sath Hoon, Aur Fir Us Ciggrate Ko Peete Peete Uske Aansu Nikal Jaya Karte They, Bada Mazboot Tha Wo Dunia Ke Liye Lekin Us Ladki Ke Lagaw Ke Aage Wo Toot Sa Gaya Tha,Use Lagta Tha Ki Usne Us Ladki Ka Dil Toda Tha Aur Wo Gunhegaar Hai Uska,Lekin Sahab Sach Kuch Aur Hi Tha, Har Ek Waqt Ki Karwat Ke Bad Wo Ladki Badal Rahi Thi, Us Ladke Ki Kabhi Soch Bhi Waha Nahi Pahuch Sakti Jaha Tak Wo Ladki Badal Rahi Thi, Har Roz Uske Naye Dost Ban Rahe They, Jise Dekhkar Wo Ladka Bhi Bahut Khush Tha Lekin Jo Uske Sath Hone Wala Tha Wo Usse Waqif Na Tha, Us Ladki Ke Ghar Ke Pas Ek Ladka Rehta Tha, Aur Wo Uska Dost Bana Tha, Jisse Us Ladke Ko Koi Dikkat Na Thi, Uski Zindagi Ki Mehfil Bhar Rahi Thi Aur Us Ladke Ki Mehfil Me They Hi Kitne Log, Waqt Badalta Raha Aur Un Dono Ki Ladaiya Badhti Rahi, Aur Fir Ek Din Us Ladke Ne Izhar E Muhabbat Me Kaha, Tumhare Bina Mera Dil Nahi LagtaTo Us Ladki Ne Kuch Esa Kaha Jo Bahut Nuksaan Kar Gaya, Usne Kaha " Mai Roz Roz Tumhara Dil Nahi Laga Sakti " Us Ladke Ki Zindagi Ka Maqam Ye Tha Ki Uski Dost Cigarette Bhi Ab Uske Sath Nahi Thi, Bachpan Se Hi Use Likhne Ka Shauk Tha Kabhi Poems Kabhi Jokes To Kabhi Shayari, Wo Likhta Pehle Bhi Tha, Lekin Uski Qalam Me Asar Nahi Tha, Ek Tarah Se Use Likhna Sikhane Wali Wo Ladki Thi, Aur Ye Likhna Ab Uski Zindagi Ban Chuki Tha, Saanso Ke Sath Sath Uski Shayari Chalti Thi, Wo Har Roz Us Ladki Ke Sath Sab Thik Karne Ki Nakaam Koshish Karta Tha, Lekin Kuch Na Ho Saka, Fir Wo Waqt Aana Hi Tha, Haan Wo Aana Hi Tha, 10 February Ka Wo Din Tha Aur Usko Kisi Dost Ne Bataya Ki Wo Ladki Kisi Ladke Ke Sath Relationship Me Hai, Usko Bilkul Vishwas Nahi Hua, Usne Fir Us Ladki Se Pucha, Puchne Par Wo Ladki Ghuma Fira Kar Baate Kar Rahi Thi , Jiska Matlab Saaf Tha, Fir Us Ladke Ne Kaha Sach Sach Bata De To Usne Maan Lia Ki Wo Relationship Me Hai, Us Ladke Ki Aankho Me Aansu They Aur Wo Us Waqt Bazaar Me Tha, Aur Wo Un Aansuo Ko Chupaane Ki Nakaam Koshish Kar Raha Tha, Uski Saanso Me Dard Tha, Aur Haath Kaamp Rahe They, Aur Fir Wo Thoda Sa Haar Gaya Tha, Use Fir Uski Cigarette Yaad Aane Lagi Thi, Aur Wo Fir Se Gaya Unhi Purani Galiyo Me, Wo Hi Cigarette Thi Wo Hi Lighter Tha Wo Hi Lighter Ki Tikk Ki Awaz Thi , Kaampte Hatho Se Usne Wo Cigarette Muh Ko Lgai Thi Aur Abhi Lighter Ki Tikk Ki Awaz Aayi Hi Thi, Ki Use Apni Dost Se Kiya Waada Yaad Aa Gaya Tha, Aur Fir Usne Cigarette Ko Todkar Fenka Tha, Dil Behlane Ke Liye Wo Kabhi Kisi Dost Ke Pas Jata Kabhi Kisi Rishtedaar Ke Pas, Chehre Par Hasi Thi Uske Lekin Uske Dil Se Khoon Beh Raha Tha, Jis Baat Ka Darr Tha Wo Baat Ho Chuki Thi Tanhaiyo Ka Mausam Tha Aur Raat Ho Chuki Thi, Sone Ka Waqt Ho Chuka Tha Aur Ye Wo Hi Bed Tha Jispar Letkar Wo Saari Raat Usse Baate Kiya Karta Tha , 1 am Ka Waqt Tha Aur Wo Khud Ko Sambhalne Ki Koshish Kar Raha Tha, Aankhe Band Hui Or Us Ladki Ka Chehra Uske Samne Tha, Aur Fir Wo Uski Pehli Shayari Thi Jo Dil Se Nikli Thi, " Tere Saath Saath Rehne Ki Aarzu Thi Meri, Kaash Tere Dosti Nibhane Ke Iraade Bhi Hote " Aur Uske Aansu Shuru Ho Chuke They, Use Wo Sab Kiye Waade Use Yaad Aa Rahe They, Lekin Sahab Wo Kamzor Nahi Tha, Uska Har Ek Aansu Use Mazboot Bana Raha Tha, Haan Aur Wo Akela Nahi Tha Wo Uski 2 Dost Uske Sath Thi , Aur Bhi Kuch Dost Uske Sath They, Aur Rote Rote Subah Ke 4 Baj Chuke They Aur Uski Aankhe Band Thi, Puri Raat Sochne Ke Bad Usne Ek Iraada Kiya Tha, Haan Usne Khud Se Waada Kiya Tha, Iraada Tha Ki Aage Badhunga, Aur Waada Tha Ki Aj Jo Jo Shaks Mere Sath Hai Unhe Na Chodunga, Wo Mujhe Chod Jaye Khushi Se, Lekin Mai Kabhi Unka Sath Na Chodunga, Wo Uski Saari Muhabbat Aankho Ne Nikal Chuki Thi, Or Wo Shaks Ek Raat Me Shayar Ban Chuka Tha, Aur Aaj Wo Bahut Aage Pahuch Chuka Hai, Itni Aage Ki Wo Ladki Use Yaad Bhi Nahi, Haan Aaj Lagta Hai Ki Wo Jo Sab Tha Kuch Nahi Tha Dhokha Tha, Uski Value Bahut Kam Hokar Bhi Bhut Jyada Thi " Aur Wo Apni Zindagi Ko Jalane Wala Khud Tha, Aur Banane Wala Bhi Khud Hi Hoga " Khuda Use Girana Nahi Chahta Tha, Girkar Uthna Sikhana Chahta Tha, Aur Wo Ladka Likhta Rahega Jab Tak Uski Saanse Chalti Rahengi
©Karan Writing

Comments
Post a Comment