Posts

Showing posts from July, 2018

The Beginning of success

Image
Shuru Khuda Ke Naam Se Jisne Es Qabil Banaya Ki Kabhi Tumhare Liye Kuch Likh Saku , Haan Wo Hi Hai Jo Chalata Hai Mujhe Sach Ke Raste Par , Aur Jisne Mujhe Es Qabil Banaya Ki Kisi Ka Dost Ban Saku , Haan Ek Waqt Tha Jab Mere Sath Koi Nahi Tha Khuda Ke Siwa, Aur Kabhi Kabhi Mai Dost Manga Karta Tha Usse, Shayad Kisi Tanha Raat Me Qabool Hui Dua Ho Tum , Mujhe Nahi Pata Tha Zindagi Kya Hai Kuch Halaato Ne Sikhaya Aur Kuch Tumne , Haan Tumne Pucha Ki Tumne Kya Sikhaya , Lekin Ye Ek Bada Sach Hai Ki Jo Tumne Sikhaya Wo Kabhi Byaan Nahi Ho Sakta, Mai Likhta Hu Kyuki Likhna Meri Zindagi Hai, Lekin Jis Tarah Khuda Ko Nahi Likh Sakta Kyuki Wo Be-Misal Hai , Wese Hi Tumhari Ye Dosti Hai Khuda Ki Tarah Be-Misaal Hai , Mai Us Rabb Ka Bhi Zikar Karta Jaunga , Aur Tumhara Bhi Aur Har Ek Dost Ka Bhi, Chahe Halaat Kuch Bhi Ho, Mai Rahu Na Rahu Lekin Meri Ye Baate Reh Jayengi Ye Aj Ka Tumhara Din ♥️ Ek Sapna Tha Ye, Fir Soch Bani, Aur Fir Mere Khuda Ne Sachai Bana Daala, Haan Ye Mauka Bahut Kam...

Aaj Fir Aayi Thi Wo ♥️

Image
Guzar raha tha raaste se Tanha bhi tha aur akela bhi Ashko ka silsila bhi jaari tha Aur gumo ka mela bhi Baadal bhi chal rahe the Meri tarah zindagi ke rasto par Rukne wale wo bhi nahi lagte the Chalte rehne ka iraada tha mera bhi Kuch baate zehan me chal rahi thi Dil ubal raha tha mera bhi Kuch pal hi guzre ki achanak Mausam suhana sa ho gaya Maza es mausam ka lene Mai bhi ek mod par khada ho gaya Ek badal kuch es tarah garja Ki bola apni dost ka deedaar kar ja Zameen dil ki thi garmiyo se ghiri Wo pehli boond mere honto par giri Ab dekhkar aasman ki taraf Mai bhi muskura raha tha Dosto ki yaado me Bheegta jaa raha tha Gum se nikal kar ab mai Khushiyo ki raaho me tha Mai apni dost baarish ki Baaho me tha Hath ferkar mere baalo me Wo mujhse pyar kar rahi thi Aane wale garam mausam ke liye Mujhe tyaar kar rahi thi Kaha maine usse itna na sataya kar E meri dost tu thodi jaldi aaya kar Kaha usne mai tera pyar bhi hu aur garoor bhi hu Lek...

Tera Pehla Qadam Sitaaro Ki Taraf ♥️

Image
Shuru Khuda Ke Naam Se Jo Bahut Bada Hai Aur Jo Bemisaal Hai, Haan Haan Wo Hi Hai Jisne Es Qabil Banaya Ki Kisi Ka Dost Ban Saku, Nahi To Mai Nahi Janta Tha Ki Dost Kya Hai,Aj Likh Raha Hu Uski Dosti Par, Ki Jiska Zikar Likhte Hue Meri Kalam Ko Fakar Mehsoos Ho Raha Hai Chali Hai Tu Chune Aasmaan Ko Kya Hai Tu Ye Dikhane Jahan Ko Mehnat Ki Gawah Tu Khud Banna Aur Safalta Ki Gawahi Khuda Dega To Aa Gaya Wo Din , Aj Tum Nikle Ho Pehli Baar Zindgi Ke Safar Ki Taraf , Bahut Mehnat Aur Lagan Ke Bad , Bhut Mushkile Sehne Ke Bad , Aj Ye Waqt Aa Gaya Jo Har Student Ki Life Me Aata Hai , Jiska Naam Hai INTERVIEW Haan Kuch Hota Hai Ye Naam Sunkar , Haan Har Kisi Ko Hota Hai , Kya Sawal Honge Aur Kya Jawab Honge , Aj Tumhare Chehre Par Bhi Thoda Sa Darr Dikha Mujhe Lekin Dost Es Darr Se Jyada Mujhe Tumhare Chehre Par Mehnat Dikhai Deti Hai , Mai Janta Hoon Ki Bahut Qabil Ho Tum Itne Qabil Ki Tum Ek Din Aasmaan Ke Sitaaro Me Chamkoge , Haan Ye Sach Hai Aur Dekhna Mere Bole Hue Ek Sach K...

Baarish Meri Dost ♥️

Image
Aaj Fir Aayi Hai Aawaz Chap Chap Paani Ki Panktia Yaad Aayi Hai Mujhe Pichli Kahani Ki Baarish Ye Aaj Ki Ajab Kaam Kar Rahi Hai Thode Aur Waqt Ke Liye Jeena Aasan Kar Rahi Hai Behti Es Hawa Me Bauchaar Maujood Hai Mere Rabb Ka Mere Liye Esme Pyar Maujood Hai Bheegkar Es Barish Me Mai Bhi Muskura Raha Hu Kitni Khoobsurat Hai Zindagi Khud Ko Bata Raha Hu Lag Raha Hai Mujhe Barish Baaho Me Bhar Rahi Hai Sarr Me Hath Fer Kar Pyar Kar Rahi Hai Aane Wali Garam Dhoop Ke Liye Tayar Kar Rahi Hai Keh Rahi Hai Mujhse Mujhe Jaana Hoga Kafi Lamba Waqt Tujhe Mere Bin Bitana Hoga Waada Maine Bhi Liya Hai Tujhe Fir Aana Hoga E Baarish Teri Baato Pe Aitbaar Kar Raha Hu Tere Kehne Par Zindgi Se Pyar Kar Raha Hoon E Meri Dost Tu Fir Se Aana Jab Jab Bhul Jau Aake Jeena Sikhana ©Karan_Writing

Ek Aakhri Nagma Tere Naam ♥️

Image
Dosti ♥️, Tumhe Pata Hai Kya Hoti Hai ? Aj Shuru Kar Raha Hu Likhna Dosti Se Hi , Kyuki Yahi Se Sabki Shuruwat Hoti Hai , Dosti Sach Ka Dusra Naam Hai , Agar Tum Dost Ko Jo Kehte Ho Sach Kehte Ho To Tumhari Dosti Mukammal Hai , Kyuki Jab Bhi Dosti Me Jhuth Pakda Jata Hai , To Qeemat Gir Jaati Hai Dosti Ki , Haan Kabhi Kabhi Jhuth Bhi Bolna Padta Hai Dosti Me Dusre Ki Khushi Ke Liye, Jese Mera Jhooth Hota Hai Kabhi Kabhi Ki Haan Mai Khush Hu, Mai Apne Gum Ya Problems Bata Kar Kisi Ko Pareshan Nahi Karta , Jhuth Aur Mazak Dono Esi Chize Hai Jo Dosti Ko Khokhla Kar Deti Hai, Mazak Se Matlab Wo Mazak Nahi Jise Joke Kehte Hai Koi Esa Mazak Jo Tum Dusre Ki Zindgi Se Karo , Haan Mai Aksar Tumhare Mazak Ka Shikaar Hua Hu, Dosti Ek Dhaaga Hai Rahib Jo Khushiyon Ke Motio Ko Samet Kar Rakhta Hai , Dosti Naam Hai Ek Dusre Ke Saath Jeene Ka, Ek Dusre Ke Har Khushi Or Gum Me Sath Dene Ka, Aur Dosti Me Koi Matlab Nahi Hota, Agar Tum Mujhe Dost Rakhte Ho Matlab Ke Liye Ya Mujhse Sirf Khushiya Paane...