Aj Fir Teri Galiyo Me

Haan Haan Tum Badal Gaye Aur Hum Bhi Badal Gaye, Teri Meri Adhoori Kahani Ko Guzre Arsa Ho Gaya, Tum Apni Zindagi Me Khush Mai Apni Zindagi Me Khush, Lekin Wo Yaade Aj Bhi Zinda Hai Sahab, Tumhe Yaad Hi Hoga Jab Tum Bulati Thi To Mai Kisi Na Kisi Bahane Aa Hi Jaata Tha Tumhare Shahar Me ,Aur Aaj Mai Fir Nikla Hu , Ek Mere Purane Dost Ki Shadi Hai Tumhare Shahar Me, Yaad Hoga Tumhe Jab Mere Mama Ke Bete Ki Shadi Thi , Aur Hum Dono Mile The , Zuban Khulne Ka Mauka Na Mil Saka , Par Aankho Aankho Me Bahut Baate Ki Thi , Aur Mai Tumhare Liye Chocolate Bhi Laya Tha Jo Tumhe Kabhi Na De Saka , Tumhari Shahar Ki Wo Sooni Si Sadak , Aur Wo Tumhari Gali Ka Mod , Mujhe Aaj Bhi Sab Yaad Hai , Mera Intzaar Karna Tumhara Baar Baar Darwaze Par Aakar Dekhna Mujhe Yaad Hai, Mai Jab Bhi Aata Tha Tumhe Hmesha Darwaze Par Hi Dekha Hai , Aj Jese Jese Train Chal Rahi Hai Tera Ghar Nazdeek Mehsoos Ho Raha Hai , Chahe Zmana Guzar Gaya Un Sab Baato Ko , Lekin Aj Bhi Jese Jese Teri Galiya Nadeek Aa Rahi Hai , Wese Wese Mere Dil Par Lage Hue Taanke Khul Rahe Hai , Aur Behte Hue Khoon Ko Mai Mehsoos Kar Raha Hu , Lekin Ab Mai Wo Nahi Jo Pehle Tha , Kabhi Socha Na Tha Ki Kabhi Muskura Pauga Tumhare Bina , Lekin Mujhe Ab Sikhaya Gaya Hai Hasna , Khulkar Hasna Mai Aa Raha Hoon Bas Nazdeek Hi Hoon , Aur Es Bar Tumhe Ek Muskurahat Ke Sath Milunga , Tumne Mujhe Es Tarah Kabhi Nahi Dekha Hoga, Maine Bhi Kuch Din Pehle Hi Dekha , Pehle Jo Bhi Tha Wo Sab To Galti Thi Zindgi Ki Lekin Ab Jo Hai Use Shayad Dosti Kehte Hai , Aur Agar Ye Dosti Hai To Hmesha Rahegi , Aur Ye Kabhi Khatam Nahi Hogi Kyuki Mai Rahu Na Rahu Meri Writings Zrur Rahengi , Aur Likhna Meri Zindgi Hai , Jab Tak Saanse Hai Likhta Rahunga , Aur Meri Mehfil Me Bhi Tera Zikar Hoga , Jab Jab Mai Dosti Ki Shan Byaan Karunga Mujhe Teri Yaad Aati Rahegi

-Karan Gumber
#TooteDiloKaShayrana

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Ailan E Jung ( Last post before Success)

The last night of sorrows

Aaj Fir Aayi Thi Wo ♥️