The last night of sorrows

Shuru Khuda Ke Naam Se Jisne Es Qalam Me Noor Bhar Diya Aur Jisne Es Qalam Ke Sadke Dil Ka Dard Mitana Sikha Diya Kahani Ek Ladke Ki, Jo Dosti Ke Liye Mar Mitne Wala Tha, Hai Aur Rahega Bhi, Kabhi Ek Waqt Tha Jab Uske Pas Dost Nahi They Wo Ajeeb Sa Tha Ajeeb Si Baate Karne Wala Tha, Fir Usne Badalna Shuru Kiya Aur Fir Uske Kuch Dost Bane Wo 3 Ladkia Thi Jise Wo Bachpan Se Hi Janta Tha, Jo Khas Thi, They To Aur Bhi Bhut Zindagi Me Lekin Shayad Unke Sath Kuch Alag Hi Baat Thi, Un Teeno Me Se Ek Ko Wo Bahut Kam Janta Tha, Aur Wo Use Janna Chahta Tha, Shayad Uske Sadke Hi Zindagi Me Koi Maqam Milna Likha Tha, Wo Bahut Bholi Si Thi Dunia Se Bekhabar, Shuruwaat Ki Fazilat Ye Thi Ki Wo Dono Ek Dusre Se Anjaan They Lekin Tab Bhi Ek Dusre Se Sara Din Baate Kiye Karte They, Wo Ladka Use Bahut Kuch Bataya Samjhaya Karta Tha Jo Ki Uska Farz Tha Uski Har Mushkil Wo Apni Banakar Chalta Tha Kyuki Usko Pata Tha Ki Jab Koi Mushkil Me Sath Nahi Hota To Kesa Lagta Hai, Bahut Ache Se Din Guzar Rahe T...